Sajana Tere Pyaar Men Main Gayi lyrics
Singers: Aasha Bhonsle & Chorus
Aasha:
sajana sajana o sajana tere pyaar men main gai kho sajana
tere hi kaaran bani re jogan ab hona hai jo bhi ho sajana
Chorus: ab ye laagi chhute na, ab ye bandhan tute na
Aasha:
milate hi nain gaya chain meri raaton ka
chal gaya jaadu teri pyaar bhari baaton ka \-2
sajana sajana.................
Chorus: ab ye laagi chhute na, ab ye bandhan tute na
Aasha:
bairi papiha jab piyu-piyu gaae re
laage vo baan meri jaan chali jaae re \-2
sajana sajana...............
Chorus: ab ye laagi chhute na, ab ye bandhan tute na
Aasha:
duniya ke mele na akele dekh jaaenge
tere hi sang piya rang saare bhaaenge \-2
sajana sajana..........................
Chorus: ab ye laagi chhute na, ab ye bandhan tute na
*******************************************************