(Md. Rafi)
Aapne yaad dilaaya to mujhe yaad aaya
ke mere dil pe pada tha koi gham ka saaya
aapne yaad dilaaya...
main bhi kya cheez hoon khaaya tha, kabhi teer koi
dard ab ja ke utha, chot lage der hui
tumko hamdard jo paaya, to mujhe yaad aaya,
ke mere dil pe pada tha koi gham ka saaya
main zameen par hoon na samjha, na parakhna chaaha
aasmaan par ye kadam jhoom ke rakhna chaaha
aaj jo sar ko jhukaaya to mujhe yaad aaya,
ke mere dil pe pada tha koi gham ka saaya.
(Lata)
maine bhi soch liya saath nibhane ke liye,
door tak aaoongi main, tumko manaane ke liye,
dil ne ehsaas dilaaya to mujhe yaad aaya
ke mere dil pe pada tha koi gham ka saaya
View another songs of this movie
Submitted by :
Akshaya
Testing.Comming Soon.If want it really soon Help US.
Submit it here
Mailed By :
Express your Views/Comments/Suggestions
Here
Loading...