Singers: Aasha & Rafi
Rafi : do ghadi vo jo paas aa baithe
ham zamaane se door ja baithe
Aasha : do ghadi vo jo paas aa baithe
ham zamaane se door ja baithe
Rafi : (bhul ki un ka hamnashin ho ke
royenge dil ko umr bhar kho ke) \- 2
haay! kya cheez thi ganvaa baithe
do ghadi vo jo paas............
Aasha : (dil ko ek din zarur jaana tha
vahi pahuncha jahaan thikaana tha ) \- 2
dil vahi dil jo dil men ja baithe
do ghadi vo jo paas............
Rafi : (ek dil hi tha gham-gusaar apana
meharabaan, khaas raaz-daar apana ) \- 2
gair ka kyon ise bana baithe
do ghadi vo jo paas............
Aasha : (gair bhi to koi hasin hoga
dil yun hi de diya nahin hoga ) \- 2
dekh kar kuchh to dil laga baithe
do ghadi vo jo paas............
Both: do ghadi vo jo paas aa baithe
ham zamaane se door ja baithe
***********************************************
View another songs of this movie
Submitted by :
p u r n i m a
Testing.Comming Soon.If want it really soon Help US.
Submit it here
Mailed By :
Express your Views/Comments/Suggestions
Here
Loading...