[Singer:- Lata Mangeshkar ]
khaamosh hai zamaana, chup-chup hain sitaare
aaraam se hai duniya, bekal hai dil ke maare
aise men koi aahat, is tarah aa rahi hai
jaise ki chal raha hai, man men koi hamaare
ye dil dhadak raha hai, ik aas ke sahaare
aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa \-2
deepak baghair kaise, parvaane jal rahe hain \-2
koi nahin chalaata, aur teer chal rahe hain
tadapega koi kab tak, be-aas be-sahaare \-2
lekin ye kah rahe hain, dil ke mere ishaare
aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa
bhataki hui javaani, manzil ko dhoondhati hai \-2
maajhi baghair nayya, saahil ko dhoondhati hai
(kya jaane dil ki kashti, kab tak lage kinaare)\-2
lekin ye kah rahe hain, dil ke mere ishaare
aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa \-2
******************************************
View another songs of this movie
Submitted by :
p u r n i m a
Testing.Comming Soon.If want it really soon Help US.
Submit it here
Mailed By :
Express your Views/Comments/Suggestions
Here
Loading...