[Singers:- Shamshad Begum & Mohammad Rafi]
shamshad: nigaahen ruk gain haay kahaan par
tadap kar rah gaya naghama zubaan par
rafi: dhuan sa uth raha hai aasamaan par
giri bijali kisi ke aashiyaan par
shamshad: kaise baje dil ka sitaar
thens lagi toot gaye taar
rafi: beeta hua jiwan ka pyaar
haay koi aaj gaya haar
shamshad: ( dil kahin, aawaaz kahin
naghama kahin saaz kahin ) \-2
rafi: dekh ye ghabaraai nazar \-2
khol na de raaz kahin \-2
shamshad: o
aaj kahe dil baar-baar
naiya meri kaise lage paar
rafi: ( dil men chhupaaye huye gham
kaise rahun, rah na sakun
shamshad: toot pade mujh pe sitam
aur main kuchh kah na sakun ) \-2
rafi: o
geet men hai dil ki pukaar
gaaye ja tu saajan ke dwaar
*****************************************
View another songs of this movie
Submitted by :
p u r n i m a
Testing.Comming Soon.If want it really soon Help US.
Submit it here
Mailed By :
Express your Views/Comments/Suggestions
Here
Loading...